Wednesday, June 13, 2007

Hindi ki Bhindi mein Baarish ki Sifaarish

Dhoop ki garmi se mera tan hua behaal.

Jaane kitni der rahega yeh bura akaal.

Chahta hoon mein rahat is pasine se.

Aur nahin seh sakta main is mahine mein.

Tabhi main dekhta hoon asmaan ki ore.

Aur aata hai uske saath garajne ka shore.

Aakash ke neele mein badal kaale kaale.

Ghar se bahar nikle,saare mohalle waale.

Boondein choti choti, giri mere gaalon par.

Aur patte hilne lage paydon ki daalon par.

"Aayi baarish, aayi baarish" kehti meri saans.

Khushiyon ke rang laayi, bhujaayi meri pyaas.






2 comments:

oblique-skeptic said...

apnaiye naya "dermi cool" talcum powder aur paiye garmi aur pasine se raahat.

saale..roz naheyega to itna bura haal nahin hoyega ;)

Sensus said...

wah wah wah kya baat hai! oi duffer meri poem likhta hai ki maroon kheech kay?